DARZI - Bazaar
Tailored by DARZI BUY IT AT https://darzimusic.myinstamojo.com/product/3419348/darzi-ki-awaaz-37efb Bandcamp: https://darzimusic.bandcamp.com/album/awaaz Instagram: https://www.instagram.com/darzi.music/ ART by https://www.instagram.com/paintedbrowngirl/ खाई मैं खाई खाली मैं खाली बिकी हथ तेरे खुली बाज़ारी ओह रातों की रानी देखे दुनिया सारी बजती है ताली बारी बारी बारी भीतर शहर में एक बैठा है शिकारी लगती है भारी उसकी निशानी वह जुआरी पूरा जाली करता है मनमानी ये ज़ंजीरें उसी ने तोह है डाली वह ही बेहलाये वह सपना दिखाए घर से उठाये फिर अंधेरे में ले जाए पास आये मुस्कुराये उसकी आँखें तड़पायें उसकी सांसें मेरी गर्दन है जलाये वह बिठाये वह लिटाये ये दीवारें रटवाए एक ही नाच हर बारी वह नचाये लगती मैं नकली कटपुतली जो उसकी तारें बदन पे कसलीं उसके इशारों पे ही अब तो मैं हूँ चलती कमरे में इस कहर में परदे में लिपटे ही हम हैं इस ज़मीं पे सारे बिखरे हुए घम हैं चार दीवारी में रोज़गारी देखो ये किस्मत है कितनी काली मेरी आज़ादी इसने रोज़ है टाली * khai main khai khaali main khaali biki hath tere khuli bazaari oh raaton ki raani dekhe duniya saari bajti hai taali baari baari baari bheetar sheher mein ek baitha hai shikaari lagti hai bhaari uski nishani woh juaari poora jaali karta hai manmaani ye zanjeerein usi ne toh hai daali woh hi behlaaye woh sapna dikhaaye ghar se uthaaye phir andhere mein le jaaye paas aaye muskuraye uski aankhein tadpaayein uski saansein meri gardan hai jalaaye woh bithaaye woh litaaye ye deewarein ratwaaye ek hi naach har baari woh nachaye lagti main nakli katputli jo uski taarein badan pe kasli uske ishaaron pe hi ab toh main hun chalti kamre mein is kehar mein parde mein lipte hi ham hain is zameen pe saare bikhre hue gham hain chaar deewari mein rozgaari dekho ye kismat hai kitni kaali meri aazaadi isne roz hai taali
Download
0 formatsNo download links available.